2009年5月8日 18:31 pagal (0 评论)
- vijaysingh
- 29, 印度
pagal

koi deewana kehta hai koi pagal samjhata hai
dharati ki baicheni to bas badal samajhata hai
yahan sab log kehte hain meri ankhon me ansoo hai
jo tu samajhe to moti hai jo na samajhe to pani hai
Sari umar ankho me ek sapna yaad raha,
Sadiyan beet gayi jisme wo lamha yaad raha,
Na jane kya baat thi unme,
Sari mehfil bhul gaye bus wo hi ek chahra yaad raha…
Na zindagi mili na wafa mili,
Na jaane kyu har khushi
Humse khafa mili,
Jhuthi muskaan ke pichhe
Hum gum ko chhupate rahe,
Khush rahne ki bhi kya khoob saja mili.
Dard hota nahi duniya ko dikhane ke liye,
Har koi rota nahi aansu bahane ke liye,
Ruthne ka mazaa tak aata hai,
Jab koi apna ho manane ke liye.
Hawa ke jhonko ka hisaab kya rakhna,
Jo beet gaya use yaad kya rakhna,
Bas ye sochkar muskura diye hum,
Ke apni udaasi se dusro ko udaas kya rahkna.
Dekhte hai aaj hum us raah ki viraniya,
Yaaro sang kati janha kitni tanhaiya,
Guzra wo daur bichhad gaye sab DOST,
Saath rah gayee to bas un lamho ki kahaniya.
Bin khwabo ke bhi kya koi so paya hai,
Bin yaadon ke bhi kya koi ro paya hai,
DOSTI aapki dhadkan he is dil ki,
Kya dil bhi kabhi dhadkan se alag ho paya hai.



